Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*shery {khamosh}*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: ~*shery {khamosh}*~

    Ulajta chor giya mujhe swalon main,

    Wo ek shakhs jo apna tha sheher walon main,

    Tamam sochen us ki gulam lagti hein,

    Ye kon bus gya aakhir mere khyalon main,

    Agarcha mjh se taluq nahi raha lekin,

    Woh nam leta hai ab bi mera hawalon main,

    Ye or bat hai k gumnam ho gaye hum,

    Kbi tha zikar hmara bi misalon main....!


    SHERY {KHAMOSH}
    ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

    Comment


    • #32
      Re: ~*shery {khamosh}*~

      Us ki chahat ne mujay aik tahzeeb sikha de ~"FARAAZ"~...

      Mein rotay rotay so jata hun magar shikwa nahin karta...



      SHERY {KHAMOSH}
      ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

      Comment


      • #33
        Re: ~*shery {khamosh}*~

        *"USY KEHNA"*

        Hm ne Ulfat ka Bhrm Sb se Juda rakha hai.*
        Goya Seene me Tuje Dil ki Jgaa rakha hai.*

        Dil Ye Chahe Ke Tu Kbi BdNam na ho.*
        Dekh Zikr Tera hai Mgr Naam Chupa Rakha Hai.*

        Mery Jis Hath Se Kiya Tha Tu Ny Musafa.*
        Dhoye Hi Nahi Honton Sy Laga Rakha Hy.*

        Ab Me Smja Tery Rukhsar Py Till Ka Mtlb.*
        Doult e Husn Pe Darban Bitha Rakha Hy.*

        Juda Ho Gae Han Tou Phir Kia Hoa Saqi.*
        Tere Taswer Ko Seeny My Sja Rakha Hy...*


        SHERY {KHAMOSH}
        ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

        Comment


        • #34
          Re: ~*shery {khamosh}*~

          "Ehsas Na ker In Jazbon Ka,

          Nazron Say Gira de BeShak Laikin.,,,

          "Jeena Bhi Mujhay Dushwar Lagay,

          Itna To Nazar Andaz Na Ker"...


          SHERY ~KHAMOSH~
          ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

          Comment


          • #35
            Re: ~*shery {khamosh}*~

            Kr K Wada Wo Nibhana Bhool Jati Hai,

            Khafa Kr K Muje Tou Mnana Bhool Jati Hai,

            Yun To Mujse Wo Kya Kya Nahi Kehti,

            Zruri Ho Jo Baat Wo Batana Bhool Jati Hai,

            Kis Kdr Tang Wo Mujhe Kiya Krti Hai,

            Khud Ho Preshan To Satana Bhool Jati Hai,

            Hamesha Se Yehi Rahi Aadat Uski,

            Wo Sun K Mere Dukh Apne Sunana Bhool Jati hai...



            ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
            ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

            Comment


            • #36
              Re: ~*shery {khamosh}*~

              Kisi k Chehry Ne Khushbu Ko Kr Dia Pagal,

              Phr Us K Bad Sama Ka Sama Hua Pagal

              Jo Unse MaiNe Kha Zindgi Bana Lo Muje!

              To Usne Dheray Se Ek Lafz Keh Dya"PAGAL"


              SHERY {KHAMOSH}
              ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

              Comment


              • #37
                Re: ~*shery {khamosh}*~

                Mujh se kehti hai tere sath QABAR ME B rahon gi sada SHERY...

                Bohat pyar krti hai mjh se TANHAI meri...!



                SHERY {KHAMOSH}
                ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                Comment


                • #38
                  Re: ~*shery {khamosh}*~

                  Ajeeb Bat Hoi Mujh Se wo Khafa b Rha,
                  Wo Doston Se Mera haal Poochta B Rha,

                  Ajeeb Rang men Ki Mujh Se Guftagu Usne,
                  Labon Pe Chup Thi Nighon Se Bolta B Rha,

                  Tha BeRukhi men B ik Tarf Ulfat Ka Rang,
                  Wo Door tk Mjhe Mur Mur k Dekhta b Rha,

                  Zuban Pr Uski Raha Dosti Ka Dawa B,
                  Salook Us Ka Mere Sath Na'rawa B Rha,

                  Mere Wajood Se Ye Khof Tha k Wehm Uska,
                  Mere Qareeb Rha Mujh Se Wo Juda B Rha...!



                  ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                  ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                  Comment


                  • #39
                    Re: ~*shery {khamosh}*~

                    Mat torr wo taluk jo teri zaat say hy,
                    Tu khafa meri kis baat say hy?

                    Tu b na uljha kr mujh say is tarha,
                    Jab tu achi trha wakif mere jazbat say hy,

                    Main kaisay ji loon tm say rooth kr,
                    Mei hr sans wabasta teri yad say hy,

                    Mea taluk jura hy kuch is trah tm say,
                    Jaisy insan ka rishta khud apny aap say hy...



                    ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                    ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                    Comment


                    • #40
                      Re: ~*shery {khamosh}*~

                      Ab Mohabbat ki wakalat nhi ki ja skti,
                      Shehr bhar se to Adawat nhi ki ja skti,

                      Mera chehra Meri Ankhain hain salaamat ab b,
                      Kon kehta hay wazaahat nahi ki ja sakti?

                      Baat ye hay k koi TooT k chaahay to sahi,
                      Her kisi se to mohabbat nahi ki ja sakti,

                      Aankh kehti hay kahin aur chalay jaayen hum,
                      Dil ye kehta hay k hijrat nahi ki ja sakti,

                      Loh-e-dil per yehi tehreer likhi hay,
                      Ishq waalon ko naseehat nahi ki ja saktii...



                      ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                      ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                      Comment


                      • #41
                        Re: ~*shery {khamosh}*~

                        Mohbt ki haseen rahon me aksar maine dekha hy,
                        Jo sathi sath chalte thay bichharte maine dekha hy,

                        Sajate thay bare hi shoq se khayalon ki haseen duniya,
                        Bohat choti si baton pe ujarte maine dekha hy,

                        Jo kehte thay k ik pal bin tere hum reh na payen ge,
                        Saamna ab ho to chup chap guzarte maine dekha hy,

                        Jo kehte thay tera rishta zamane bhar se afzal hy,
                        Unhi rishton ko pal bhar me bikharte maine dekha hy...



                        ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                        ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                        Comment


                        • #42
                          Re: ~*shery {khamosh}*~

                          Koi pal bina tumhare,

                          Bhala kaise beet jaye?

                          Mere pas tum nhi ho,

                          Mere pas kb nhi ho?

                          Meri yad k nagar mein,

                          Mere khwab k safar mein,

                          Meri soch ki tehon mein,

                          Meri ankh k bhanwar mein,

                          Bs arzu tumhari,

                          Isi arzu se agay
                          Koi rasta nhi hai,

                          Tumhain kis qadar hai chaha,

                          Ye tumhain b pata nhi hai



                          ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                          ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                          Comment


                          • #43
                            Re: ~*shery {khamosh}*~

                            Apni Khushiyan Luta Kr Tujh Pe Qurban Ho Jaon,
                            Kash Kuch Din Tery Shehr Main Mehman Ho Jaon,

                            Tu Apna Nayab Dil Mujh Ko De Dy Or Phir Mangy,
                            Main mukr Jaon Or Bey Emaan Ho Jaon,

                            Tu Mujh Pe Sitam Kry Hr Ksi Ki Tarha,
                            Main Teri Is Ada Pr B Meharban Ho Jaon,

                            Tu Mery Paon K Nichy Se Zameen Kheench Ly,
                            Or Main Tera Asman Ho Jaon,

                            Tu Mujh Se Door Door Bhagta Phiry,
                            Khuda Koi Mojza Kary Or Main Tere Naam Ho Jaon..



                            ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                            ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                            Comment


                            • #44
                              Re: ~*shery {khamosh}*~

                              Jiss ko chaha wohi kehta hai wafa kuch bhi nahin,
                              Aesa lagta hai mere pass raha kuch bhi nahin,

                              Yun bhi uss ne mujhe faramosh kiya,
                              Sun k har baat meri, jaise suna kuch bhi nahin,

                              Bohat veeraan si ho gayi hai zindagi meri,
                              Woh jab se chorr k gaya, mere pass raha kuch bhi nahin,

                              Mujh se poochay koi kya dil pe mere beet gayi,
                              Uss se kya poochtay ho jiss ka gaya kuch bhi nahin...



                              ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                              ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                              Comment


                              • #45
                                Re: ~*shery {khamosh}*~




                                ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                                ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                                Comment

                                Working...
                                X